World's first medical networking and resource portal

Community Weblogs

Mar10

Yah aushadhi Ayurved ke shashtriy grantho me varnit ki gayi hai. Is aushadhi ke bare mein kahaa gaya hai ki isake upayog se sabhi prakaar ke yakrat sambandhit rogon me, [diseases related to Liver and Gall Bladder ], laabh pahuchata hai.

Ayurved shashtron me is aushadhi ke prayog niman bimariyon me karate hai.

Kushtha : Ise Skin Disorders yani Kushtha me upayog karate hai. Sabhi prakar ki tvacha yani skin se sambandhit rog ho, usame bhi prayog karate hai.

Jiran jwar : Yah un Purane bukhar ki bhi dava hai, jo mahino aur varshon se thik nahi ho rahe hai. Chahe kaisa bhi bukhar ho, kitana bhi purana bukhar ho, isake sevan karabe se avashy phayada hota hai.

Sarv shoth : Yani saare sharir ya sampurn sharir me aa gayi sujan

Yakrat braddhi yani , Liver Enlargement, Enlarged Liver, Hepatomegali

Pleeha braddhi yani Spleenomegali

Jalodar yani Ascites, Dropsy

Pandu yani Jaundice

Prameh yani Diebetes Insipidus, Diebetes melitis, Urine anomalies

Agnidipak yani Appetiser

Pachak yani digestives

Hridya yani helping in Cardiac disorders

Mednashak yani reduces Fat

Malshodhak yani Mild purgative

Pathay yani can be prescribed in all disorders

Ek baat sabhi ko batana chahta hu, ki Ayurvedic aushadhiyo ki prescribing range bahut adhik hoti hai aur isi karan ek aushadhi bahut se rogo mein prescribe ki jati hai. Yah Allopathy ki prescribing se bilakul alag hai ki ek aushadhi kewal ek rog mein hi kaam aati hai. Ayurvedic aushadhiyaon ka upayog multi dimentional hota hai.

Doses; Yah bahut surakshit dava hai aur ise sabhi log nirbhay hokar upayog kar sakate hai. Isaki ek goli subah aur ek goli shaam ko saade pani se sewan karana chahiye.



Comments (0)  |   Category (Alternate Medicine)  |   Views (4884)

Community Comments
User Rating
Rate It


Post your comments

 
Browse Archive